Tuesday, November 01, 2005

One of my favourite lyrics. I like it very much. A classic . It's every line somewhere touches me very deeply.

hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaaish pe dam nikale bahut nikale mere armaaN lekin phir bhii kam nikale
nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hain lekin bahut beaabaruu hokar tere kuuche se ham nikale
muhabbat men nahiin hai farq jiine aur marane kaa usii ko dekh kar jiite hain jis kaafir pe dam nikale
Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim Kahiin aisaa na ho yaaN bhii vahii kaafir sanam nikale
KahaaN maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaaN vaaiz par itanaa jaanate hain kal vo jaataa thaa ke ham nikale


Shaks Unlimited

No comments: