Tuesday, April 29, 2008

Dil Dosti etc : Circuit Tales

Sometime back one sudden impulse of excitement forced me and pammi to convince “paji” and “circuit” for a long ride after midnight. While the reason that “wahan pe crowd aacha hota hai” does not work after midnight, convincing becomes too tough a job. Yet we succeeded. Night Safaris are always fun but added fun was that circuit was sitting behind me when he got update call from his fiancĂ©. “Update call” is the typical phone call that lasts for 55 minutes and gives you 5 minutes time to elaborate those 5 minutes in next 55 minutes. Typically, after getting engaged before getting married everyone has to pass through this “agni pariksha”. Bechara!! I can only listen to one side of conversation

“Arre mein socha tum so gayi hongi”

Me wanted to say ( MWTS) “Oh to circuit sochta bhi hai”

“ Mein tumhe disturb nahi karna chah raha tha”

( MWTS) “ Kitni fikr hai saale ko, jhooth bol raha hai”

“ Arre kuch nahi abhi ghar se niche utr raha huin”

( MWTS) saale 10 minute se to mein drive kar raha huin”

“ arre yaar ye dost logo ke saath abhi khana khaya tha”

( MWTS) khana 2 ghante pehle khaya!! Phir CAD-B khaya, phir saale kitna timepass kiya”

“coffee pene ke liye ja rhein hain”

( MWTS) “ Wah Wah!!”

“ haan, coffee hi pene ke hi liye ja rahe hein yaar”

( MWTS) “ Sach bhi hoga to kaun manega”

“ Aawaj, haan bike pe hain na, isiliye aawaj aa rahi hogi”

( MWTS) “ ab to tu gaya beta”

“ yaar vo raat mein coffee milti nahi na aas pas, isliye station ja rahe hain“

( MWTS) “ Coffee pene raat mein station, bike pe, ye baat kuch hajam nahi hui”

station pass mein hi hai. 5 minutes mein pahuch jayenge”

( MWTS) “Class hogi saale ki aaj to“

“koi ladki nahi hai yaar!! Saare ladke hain. Mein huin, ye hai, vo hai.........”

( MWTS) “ Nahi kar payega tu convince, kaun manega”

“Raat mein ghumna awaragardi thode hi hota hai. Hum log kuch kar thode hi na rahe hain” ( It was really cute one)

( MWTS) “ direct dil se, but kaun manega, u cant change social perceptions”

“ Aacha theek hai, mein ghar jaakar phone karta huin.”

( MWTS) “ Ye to Gaya kam Se”

If she would have been his GF, we could have used “Be a man” to remind him that he is a man and nobody has right to challenge his manhood but aab shaadi ki baat hai to kya karein. Bechare ki class ho gayi faltoo mein. When we came back, ek ghante tak convince kar raha tha. While he was about to succeed, he entered the room. Phir kya tha ek aur googly maari hum logo ne. Started speaking loudly “ Kya capacity hai yaar iski, 15 mins mein do bandiyaan pata leta hai”

Phir kya tha class shuru“ Arre yaar aisa kaise possible hai, tum hi batao, koi 15 mins mein do bandiyaan kaise pata sakta hai, ye log mazak kar rahe hain” He was about to say” saala 15 saal mein baandi nahi pati, nahi to love marriage hi na ka leta” Kya kare lekin phir saale ki class shuru.

We call him “Circuit” since 1999, long before Munnabhai got released. Overall he has changed for good after getting engaged. We all are very happy for him!!

Tuesday, April 01, 2008

Happy Fool's day

If you die while sleeping, are you being deceptive?

Is Not being selfish, a selfish intention?

If you cry in the rain, are you faking?